jo mumkin ho to soz-e-shama parwane mein rakh dena
jo mumkin ho to soz-e-shama parwane mein rakh dena
Qaisar Haideri Dehlvi
MORE BYQaisar Haideri Dehlvi
jo mumkin ho to soz-e-sham.a parvāne meñ rakh denā
ab is afsāne kā unvān afsāne meñ rakh denā
baḌī kāfir kashish īmāñ meñ hai ai āzim-e-ka.aba
na le jaanā dil apne saath but-ḳhāne meñ rakh denā
mirā dil bhī sharāb-e-ishq se labrez hai saaqī
ye botal bhī uḌā kar kaag maiḳhāne meñ rakh denā
abhī ā.īna-e-tasvīr abhī hushyār abhī ġhāfil
tumheñ aatā hai har andāz dīvāne meñ rakh denā
mirā paimāna-e-hastī agar saaqī chhalak jaa.e
mire hisse kā ḳhālī jaam maiḳhāne meñ rakh denā
sharīk-e-mai janāb-e-shaiḳh bhī ho jā.eñge saaqī
zarā zarf-e-vazū kā Dhañg paimāne meñ rakh denā
ye kyā dast-e-ajal ko kaam sauñpā hai mashiyyat ne
chaman se toḌnā phuul aur vīrāne meñ rakh denā
vafūr-e-yās meñ 'qaisar' chale haiñ dil se chand aañsū
ye lāsheñ haiñ inheñ āñkhoñ ke ḳhas-ḳhāne meñ rakh denā
jo mumkin ho to soz-e-shama parwane mein rakh dena
ab is afsane ka unwan afsane mein rakh dena
baDi kafir kashish iman mein hai ai aazim-e-kaba
na le jaana dil apne sath but-KHane mein rakh dena
mera dil bhi sharab-e-ishq se labrez hai saqi
ye botal bhi uDa kar kag maiKHane mein rakh dena
abhi aaina-e-taswir abhi hushyar abhi ghafil
tumhein aata hai har andaz diwane mein rakh dena
mera paimana-e-hasti agar saqi chhalak jae
mere hisse ka KHali jam maiKHane mein rakh dena
sharik-e-mai janab-e-shaiKH bhi ho jaenge saqi
zara zarf-e-wazu ka Dhang paimane mein rakh dena
ye kya dast-e-ajal ko kaam saunpa hai mashiyyat ne
chaman se toDna phul aur virane mein rakh dena
wafur-e-yas mein 'qaisar' chale hain dil se chand aansu
ye lashen hain inhen aankhon ke KHas-KHane mein rakh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.