Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo murgh-e-qibla-numa ban ke aashiyan se chale

Shad Lakhnavi

jo murgh-e-qibla-numa ban ke aashiyan se chale

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    jo murġh-e-qibla-numā ban ke āshiyāñ se chale

    taḌap taḌap ke vahīñ rah ga.e jahāñ se chale

    jigar shigāf ho dil ho chaak vahshat se

    junūñ meñ jāma-e-tan dekhiye kahāñ se chale

    jo mar ke reg-e-ravāñ bhī bane za.īfī meñ

    yahāñ pe rah ga.e ham nā-tavāñ vahāñ se chale

    sabāt-e-jāma-e-hastī ho ḳhaak piirī meñ

    jo pairahan ho purānā bahut kahāñ se chale

    vahāñ se aa.e akele the nā-murādāna

    hazār hasrat-o-armāñ liye yahāñ se chale

    mirā tirā tarah 'shād' ye bhī iitā hai

    ye qāfiya na nahīñ se chale na haañ se chale

    jo murgh-e-qibla-numa ban ke aashiyan se chale

    taDap taDap ke wahin rah gae jahan se chale

    jigar shigaf ho ya dil ho chaak wahshat se

    junun mein jama-e-tan dekhiye kahan se chale

    jo mar ke reg-e-rawan bhi bane zaifi mein

    yahan pe rah gae hum na-tawan wahan se chale

    sabaat-e-jama-e-hasti ho KHak piri mein

    jo pairahan ho purana bahut kahan se chale

    wahan se aae akele the na-muradana

    hazar hasrat-o-arman liye yahan se chale

    mera tera ki tarah 'shad' ye bhi ita hai

    ye qafiya na nahin se chale na han se chale

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now