jo mushkil raste hain un ko yun hamwar karna hai
jo mushkil rāste haiñ un ko yuuñ hamvār karnā hai
hameñ jazboñ kī kashtī se samundar paar karnā hai
hamāre hausle majrūh karnā chāhte haiñ vo
hameñ sūraj ke ruḳh par sāya-e-dīvār karnā hai
jo thak kar so ga.e haiñ vo to ḳhud hī jaag jā.eñge
abhī jaage hue logoñ ko bas bedār karnā hai
uThā lo haath meñ parcham mohabbat ke parastāroñ
chalo nafrat kī dīvāreñ abhī mismār karnā hai
jahālat ke añdheroñ se nimaTne ke liye 'nusrat'
charāġhoñ kā hameñ ik kārvāñ tayyār karnā hai
jo mushkil raste hain un ko yun hamwar karna hai
hamein jazbon ki kashti se samundar par karna hai
hamare hausle majruh karna chahte hain wo
hamein suraj ke ruKH par saya-e-diwar karna hai
jo thak kar so gae hain wo to KHud hi jag jaenge
abhi jage hue logon ko bas bedar karna hai
uTha lo hath mein parcham mohabbat ke parastaron
chalo nafrat ki diwaren abhi mismar karna hai
jahaalat ke andheron se nimaTne ke liye 'nusrat'
charaghon ka hamein ek karwan tayyar karna hai
- Book : Ghar Aane Ko Hai (Pg. 107)
- Author : Nusrat Mehdi
- Publication : Shivna Prakashan (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.