jo mustahiq hain asl mein aab-e-hayat ke
jo mustahiq haiñ asl meñ āb-e-hayāt ke
pyāse vahī mileñge kināre furāt ke
ab ik na.ī luġhat ke havāle se baat kar
ab ḳhair-o-shar meñ rang kahāñ haiñ sabāt ke
maz.hab se haT ke khoj kareñ to pata chale
mābain kyā thā ġhaznavī-o-somnāt ke
sūraj kī raushnī meñ bulā kar na kar zalīl
rahne de raat meñ jo parinde haiñ raat ke
afsos un se ka.aba-e-dil ho na sakā paak
charche vahī haiñ aaj bhī lāt-o-manāt ke
āvāra phir rahe haiñ jaḌoñ kī talāsh meñ
ham phuul phuul ghūmte bhañvre hayāt ke
kyā kyā havas hai hazrat-e-'jāved' ko na pūchh
pāband haiñ agarche vo saum-o-salāt ke
jo mustahiq hain asl mein aab-e-hayat ke
pyase wahi milenge kinare furaat ke
ab ek nai lughat ke hawale se baat kar
ab KHair-o-shar mein rang kahan hain sabaat ke
mazhab se haT ke khoj karen to pata chale
mabain kya tha ghaznawi-o-somnat ke
suraj ki raushni mein bula kar na kar zalil
rahne de raat mein jo parinde hain raat ke
afsos un se kaba-e-dil ho na saka pak
charche wahi hain aaj bhi lat-o-manat ke
aawara phir rahe hain jaDon ki talash mein
hum phul phul ghumte bhanwre hayat ke
kya kya hawas hai hazrat-e-'jawed' ko na puchh
paband hain agarche wo saum-o-salat ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.