jo na mahsus kiya ho use kyunkar kahte
jo na mahsūs kiyā ho use kyūñkar kahte
varna āsān thā qatre ko samundar kahte
khil nahīñ sakte kabhī siine meñ zaḳhmoñ ke gulāb
ham jo sūkhe hue kāñToñ ko gul-e-tar kahte
ḳhaak ho kar bhī chamakne se gurezāñ haiñ ham
log zarroñ ko sitāroñ ke barābar kahte
ham subuk-sar na hue apne lahū ke hāthoñ
jaane kyā dil meñ palaTte hue ḳhanjar kahte
koī ranjīda nahīñ aks gañvā kar apnā
aa.ina aa.ina ye raaz bhī patthar kahte
jo na mahsus kiya ho use kyunkar kahte
warna aasan tha qatre ko samundar kahte
khil nahin sakte kabhi sine mein zaKHmon ke gulab
hum jo sukhe hue kanTon ko gul-e-tar kahte
KHak ho kar bhi chamakne se gurezan hain hum
log zarron ko sitaron ke barabar kahte
hum subuk-sar na hue apne lahu ke hathon
jaane kya dil mein palaTte hue KHanjar kahte
koi ranjida nahin aks ganwa kar apna
aaina aaina ye raaz bhi patthar kahte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.