jo na mil baiTha ho phir us se shikayat kaisi
jo na mil baiThā ho phir us se shikāyat kaisī
maiñ akelā hī chalā huuñ to rifāqat kaisī
ḳhud to ā.eñge nahīñ aur bulā.eñge hameñ
dekhiye aap ne Daalī ye rivāyat kaisī
maiñ ne chāhā to bahut TuuT ke chāhā na gayā
yuuñ bhī TuuTī hai ka.ī baar qayāmat kaisī
tum ne jiine kā mujhe hausla baḳhshā hai to phir
mujh se rahte ho gurezāñ ye siyāsat kaisī
jab bichhaḌnā hī mohabbat kā taqāza Thahrā
phir nigāhoñ meñ mirī jaañ ye nadāmat kaisī
jo na mil baiTha ho phir us se shikayat kaisi
main akela hi chala hun to rifaqat kaisi
KHud to aaenge nahin aur bulaenge hamein
dekhiye aap ne Dali ye riwayat kaisi
main ne chaha to bahut TuT ke chaha na gaya
yun bhi TuTi hai kai bar qayamat kaisi
tum ne jine ka mujhe hausla baKHsha hai to phir
mujh se rahte ho gurezan ye siyasat kaisi
jab bichhaDna hi mohabbat ka taqaza Thahra
phir nigahon mein meri jaan ye nadamat kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.