jo na-shunida rahe lafz aaj bolenge
jo nā-shunīda rahe lafz aaj boleñge
shagūfa-hā-e-taḳhayyul zabān kholeñge
buland Tiile abhī darmiyān-e-parda haiñ
havā ik aa.egī sab us ke saath ho leñge
qadīm ūñchī imārāt par nasab katbe
zamīñ pe aa.eñ to sochoñ meñ qand gholeñge
na hādsāt kī chādar se Dhak sake asbāb
parind jā ke bulandī pe bhed kholeñge
jahāñ pe chhāñv hai aaseb Derā Daale haiñ
na dhuup chhoḌ ki vo saa.e meñ piro leñge
jo na-shunida rahe lafz aaj bolenge
shagufa-ha-e-taKHayyul zaban kholenge
buland Tile abhi darmiyan-e-parda hain
hawa ek aaegi sab us ke sath ho lenge
qadim unchi imaraat par nasab katbe
zamin pe aaen to sochon mein qand gholenge
na hadsat ki chadar se Dhak sake asbab
parind ja ke bulandi pe bhed kholenge
jahan pe chhanw hai aaseb Dera Dale hain
na dhup chhoD ki wo sae mein piro lenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.