jo nahin hai tera maqsad mujhe sogwar karna
jo nahīñ hai terā maqsad mujhe sogvār karnā
mujhe kuchh burā nahīñ hai tirā intizār karnā
mirī aañkh kī namī ne tire saare bhed khole
nahīñ thā mirā irāda tujhe sharmsār karnā
mirī zīst-e-barguzīda thī hisār-e-bandagī meñ
tujhe kyoñ pasand aayā mujhe be-hisār karnā
haiñ hazāroñ dafn aañsū mirī qabr-e-ārzū meñ
na dil-e-hazīñ ko tum bhī kabhī ġham-gusār karnā
tire pyaar meñ thī andhī anā kajravī na samjhī
tirā va.ada toḌ jaanā yahī baar baar karnā
jo nahin hai tera maqsad mujhe sogwar karna
mujhe kuchh bura nahin hai tera intizar karna
meri aankh ki nami ne tere sare bhed khole
nahin tha mera irada tujhe sharmsar karna
meri zist-e-barguzida thi hisar-e-bandagi mein
tujhe kyon pasand aaya mujhe be-hisar karna
hain hazaron dafn aansu meri qabr-e-arzu mein
na dil-e-hazin ko tum bhi kabhi gham-gusar karna
tere pyar mein thi andhi ana kajrawi na samjhi
tera wada toD jaana yahi bar bar karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.