jo nahin hai usi khule dar ko
jo nahīñ hai usī khule dar ko
jā rahā huuñ maiñ chhoḌ kar ghar ko
apnī dahlīz se maiñ tā-manzil
DhūñDhtā hī rahā huuñ rahbar ko
kyā karūñ jā ke qabr meñ leTūñ
kaise bhūlūñ maiñ maut ke Dar ko
tū bhī aatā hai sāth-sāth ki jab
yaad kartā huuñ apne dilbar ko
jā rahī hai ḳhizāñ baġhīche se
chhoḌ kar dāman-e-mo.attar ko
yaad kartā hai raat bhar ambar
tiir khaa.e parind ke par ko
jo nahin hai usi khule dar ko
ja raha hun main chhoD kar ghar ko
apni dahliz se main ta-manzil
DhunDhta hi raha hun rahbar ko
kya karun ja ke qabr mein leTun
kaise bhulun main maut ke Dar ko
tu bhi aata hai sath-sath ki jab
yaad karta hun apne dilbar ko
ja rahi hai KHizan baghiche se
chhoD kar daman-e-moattar ko
yaad karta hai raat bhar ambar
tir khae parind ke par ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.