jo nahin us jahan rote hain
jo nahīñ us jahāñ rote haiñ
hāsil-e-rā.egāñ ko rote haiñ
dukh zamīñ kā to baañT sakte nahīñ
aur zamān-o-makāñ ko rote haiñ
reza reza paḌā hai āñkhoñ meñ
ġham ke koh-e-girāñ ko rote haiñ
dil-girafta ḳhamosh rātoñ meñ
shor-hā-e-sagāñ ko rote haiñ
mausamoñ kī bahār meñ ham sab
apnī apnī ḳhizāñ ko rote haiñ
jā nikalte haiñ ġham zamānoñ meñ
niiñd meñ raftagāñ ko rote haiñ
vaqt ke be-navā musāfir ham
an-sunī dāstāñ ko rote haiñ
kashtiyāñ bhar ga.iiñ samundar se
ham abhī bādbāñ ko rote haiñ
ham zamīnoñ pe reñgne vaale
kis liye āsmāñ ko rote haiñ
kuchh bhī hotā nahīñ jo rone ko
be-sabab īn-o-āñ ko rote haiñ
apne malbe pe baiTh kar 'nāsir'
dar-o-dīvār jaañ ko rote haiñ
jo nahin us jahan rote hain
hasil-e-raegan ko rote hain
dukh zamin ka to banT sakte nahin
aur zaman-o-makan ko rote hain
reza reza paDa hai aankhon mein
gham ke koh-e-giran ko rote hain
dil-girafta KHamosh raaton mein
shor-ha-e-sagan ko rote hain
mausamon ki bahaar mein hum sab
apni apni KHizan ko rote hain
ja nikalte hain gham zamanon mein
nind mein raftagan ko rote hain
waqt ke be-nawa musafir hum
an-suni dastan ko rote hain
kashtiyan bhar gain samundar se
hum abhi baadban ko rote hain
hum zaminon pe rengne wale
kis liye aasman ko rote hain
kuchh bhi hota nahin jo rone ko
be-sabab in-o-an ko rote hain
apne malbe pe baiTh kar 'nasir'
dar-o-diwar jaan ko rote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.