jo nasihat do manzur hai aaj
jo nasīhat do manzūr hai aaj
aadmī kitnā majbūr hai aaj
ghar na rastā na saayā na manzil
dar-ba-dar hai jo mazdūr hai aaj
gyaan bāñToge hī tum tumhārā
peT roTī se bharpūr hai aaj
in ġharīboñ ko jo thā mayassar
haañ vo mazdūrī bhī duur hai aaj
jaane kis kī nazar lag ga.ī hai
saarī duniyā jo be-nūr hai aaj
jo nasihat do manzur hai aaj
aadmi kitna majbur hai aaj
ghar na rasta na saya na manzil
dar-ba-dar hai jo mazdur hai aaj
gyan banToge hi tum tumhaara
peT roTi se bharpur hai aaj
in gharibon ko jo tha mayassar
han wo mazduri bhi dur hai aaj
jaane kis ki nazar lag gai hai
sari duniya jo be-nur hai aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.