jo nazar aana saken aise bhi manzar dekhen
Interesting Fact
Shab Khoon-Allahabad
jo nazar aanā sakeñ aise bhī manzar dekheñ
dekhne vaale kabhī apne bhī andar dekheñ
rañg ke jism chhueñ nuur ke paikar dekheñ
ḳhvāb kī shahr-panāhoñ meñ utar kar dekheñ
vaqt ne sab se baḌā vaar kiyā hai ham par
kis bulandī se girātā hai muqaddar dekheñ
dekhnā ye hai ki kyā radd-e-amal hotā hai
apne ham-zād ko pahlū se jhaTak kar dekheñ
ittifāq aisā bhī ik roz mayassar aa.e
duur se apne ko hālāt kī zad par dekheñ
dūr-uftāda jazīra hī nikal aa.e koī
us kī āñkhoñ ke samundar meñ utar kar dekheñ
jo nazar aana saken aise bhi manzar dekhen
dekhne wale kabhi apne bhi andar dekhen
rang ke jism chhuen nur ke paikar dekhen
KHwab ki shahr-panahon mein utar kar dekhen
waqt ne sab se baDa war kiya hai hum par
kis bulandi se giraata hai muqaddar dekhen
dekhna ye hai ki kya radd-e-amal hota hai
apne ham-zad ko pahlu se jhaTak kar dekhen
ittifaq aisa bhi ek roz mayassar aae
dur se apne ko haalat ki zad par dekhen
dur-uftada jazira hi nikal aae koi
us ki aankhon ke samundar mein utar kar dekhen
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 106)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.