jo nazar aata tha bahar se wo kab andar se tha
jo nazar aatā thā bāhar se vo kab andar se thā
us ke jiine kā salīqa us ke pas-manzar se thā
shaam hote hī udāsī gher letī thī use
rābta us kā kahīñ kyā Dūbte manzar se thā
quvvat-e-parvāz pā kar bhī kahāñ jaatā parind
us ke uḌne kā ta.alluq kuchh to mere ghar se thā
fard thā jis ghar kā us ne bhī na pahchānā use
marne vaale shaḳhs kā nām-o-nasab to sar se thā
guzre lamhoñ kī sadā.eñ der tak aatī rahīñ
kuchh to rishta jaane vāloñ kā ujaḌte ghar se thā
jo nazar aata tha bahar se wo kab andar se tha
us ke jine ka saliqa us ke pas-manzar se tha
sham hote hi udasi gher leti thi use
rabta us ka kahin kya Dubte manzar se tha
quwwat-e-parwaz pa kar bhi kahan jata parind
us ke uDne ka talluq kuchh to mere ghar se tha
fard tha jis ghar ka us ne bhi na pahchana use
marne wale shaKHs ka nam-o-nasab to sar se tha
guzre lamhon ki sadaen der tak aati rahin
kuchh to rishta jaane walon ka ujaDte ghar se tha
- Book : سکوت دشت (Pg. 94)
- Author : اقبال انجم
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس دہلی۔6 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.