jo nek rahon se hum bhi guzar gae hote
jo nek rāhoñ se ham bhī guzar ga.e hote
ḳhalā meñ aaj yaqīnan ubhar ga.e hote
tumhāre saath gunāhoñ meñ hote shāmil to
sazā-e-maut se pahle hī mar ga.e hote
tumheñ zamīñ kī haqīqat kī bhī ḳhabar hotī
bulandiyoñ se agar tum utar ga.e hote
shikāriyoñ kī samajhte na sāzisheñ ham to
hamāre pankh to kab ke katar ga.e hote
ra.iis log the mahfil meñ aap kī shāyad
to ham zalīl hī hote agar ga.e hote
hamāre paas na aate to koī baat na thī
jo aa ga.e the to le kar ḳhabar ga.e hote
talāsh-e-rizq meñ khāte haiñ dhuul shahroñ kī
huī thī shaam 'nazar' ham bhī ghar ga.e hote
jo nek rahon se hum bhi guzar gae hote
KHala mein aaj yaqinan ubhar gae hote
tumhaare sath gunahon mein hote shamil to
saza-e-maut se pahle hi mar gae hote
tumhein zamin ki haqiqat ki bhi KHabar hoti
bulandiyon se agar tum utar gae hote
shikariyon ki samajhte na sazishen hum to
hamare pankh to kab ke katar gae hote
rais log the mahfil mein aap ki shayad
to hum zalil hi hote agar gae hote
hamare pas na aate to koi baat na thi
jo aa gae the to le kar KHabar gae hote
talash-e-rizq mein khate hain dhul shahron ki
hui thi sham 'nazar' hum bhi ghar gae hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.