jo nish-e-gham se be-parwa na hoga
jo nīsh-e-ġham se be-parvā na hogā
tumhārā chāhne vaalā na hogā
jo terī yaad meñ aañsū bahegā
vo jānāñ gauhar-e-yak-dāna hogā
hasīn-o-mah-jabīñ hoñge jahāñ meñ
magar kāfir adā tujh sā na hogā
hai tū parde meñ aur shor ik jahāñ meñ
ye parda jab uThā phir kyā na hogā
taḌap jis dil meñ yazdāñ kī na hogī
to ahrīman kā vo kāshāna hogā
gulistāñ aaj sarmast-e-navā hai
chaman meñ jalva-e-jānāna hogā
na ho shā'ir jo sham-e-bazm-e-hastī
jahāñ meñ ishq kā jalvā na hogā
na hoñge ham navāsanj-e-bahārāñ
to gulzār-e-jahāñ vīrāna hogā
na chheḌeñ ham agar tār-e-rag-e-jāñ
navā-e-zindagī paidā na hogā
ruḳh-e-zebā kī tasvīr-e-ḳhyālī
tire 'nāzir' kā ye nazrāna hogā
jo nish-e-gham se be-parwa na hoga
tumhaara chahne wala na hoga
jo teri yaad mein aansu bahega
wo jaanan gauhar-e-yak-dana hoga
hasin-o-mah-jabin honge jahan mein
magar kafir ada tujh sa na hoga
hai tu parde mein aur shor ek jahan mein
ye parda jab uTha phir kya na hoga
taDap jis dil mein yazdan ki na hogi
to ahriman ka wo kashana hoga
gulistan aaj sarmast-e-nawa hai
chaman mein jalwa-e-jaanana hoga
na ho sha'ir jo sham-e-bazm-e-hasti
jahan mein ishq ka jalwa na hoga
na honge hum nawasanj-e-bahaaran
to gulzar-e-jahan virana hoga
na chheDen hum agar tar-e-rag-e-jaan
nawa-e-zindagi paida na hoga
ruKH-e-zeba ki taswir-e-KHyali
tere 'nazir' ka ye nazrana hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.