jo nikli makan se saDak par gai
jo niklī makāñ se saḌak par ga.ī
havā mujh ko chāroñ taraf kar ga.ī
rahā ik chhanākā sā kānoñ meñ shab
huī sub.h to vo sadā mar ga.ī
ye barsāt lagte hī sūkhī nadī
zarā meñ kināroñ talak bhar ga.ī
uThī ek vārafta mauj-e-havas
magar zor-e-tūfān se Dar ga.ī
havāoñ kā naġhma divāroñ ke kaan
mire ghar meñ ye kaisī shai bhar ga.ī
jo nikli makan se saDak par gai
hawa mujh ko chaaron taraf kar gai
raha ek chhanaka sa kanon mein shab
hui subh to wo sada mar gai
ye barsat lagte hi sukhi nadi
zara mein kinaron talak bhar gai
uThi ek warafta mauj-e-hawas
magar zor-e-tufan se Dar gai
hawaon ka naghma diwaron ke kan
mere ghar mein ye kaisi shai bhar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.