jo nuqush ubhre hain ehsas ke aaine mein
jo nuqūsh ubhre haiñ ehsās ke ā.īne meñ
miT ke zau-bār na hoñ yaas ke ā.īne meñ
jis ko ummīd ke parde pe bhī dekhā na kabhī
vahī aatā hai nazar yaas ke ā.īne meñ
dil kī taskīn ko kaafī hai yahāñ mauj-e-sarāb
dekhiye us ko zarā pyaas ke ā.īne meñ
kyoñ gunah se na munavvar ho zamīr-e-insāñ
ko.elā chamke hai almās ke ā.īne meñ
sang-e-imroz se fardā ko bachā.ūñ kaise
baal jab paḌ hī ga.e aas ke ā.īne meñ
jo nuqush ubhre hain ehsas ke aaine mein
miT ke zau-bar na hon yas ke aaine mein
jis ko ummid ke parde pe bhi dekha na kabhi
wahi aata hai nazar yas ke aaine mein
dil ki taskin ko kafi hai yahan mauj-e-sarab
dekhiye us ko zara pyas ke aaine mein
kyon gunah se na munawwar ho zamir-e-insan
koela chamke hai almas ke aaine mein
sang-e-imroz se farda ko bachaun kaise
baal jab paD hi gae aas ke aaine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.