jo panch waqt musalle pe qibla-ru nikle
jo pāñch vaqt musalle pe qibla-rū nikle
unhīñ buzurgoñ ke zer-e-baġhal subū nikle
baḌā maza ho but-e-kam-suḳhan jo mahshar meñ
ḳhudā ke sāmne hāzir-javāb tū nikle
vo go sunā kiye lekin adā ye kahtī rahī
na zikr-e-mehr-o-vafā mere rū-ba-rū nikle
kisī ko dair kisī ko haram mubārak ho
hameñ vo dar ki jahāñ dil kī aarzū nikle
jo panch waqt musalle pe qibla-ru nikle
unhin buzurgon ke zer-e-baghal subu nikle
baDa maza ho but-e-kam-suKHan jo mahshar mein
KHuda ke samne hazir-jawab tu nikle
wo go suna kiye lekin ada ye kahti rahi
na zikr-e-mehr-o-wafa mere ru-ba-ru nikle
kisi ko dair kisi ko haram mubarak ho
hamein wo dar ki jahan dil ki aarzu nikle
- Book : intekhaab-e-kalaam (Pg. 38)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.