jo pahle zarā sī navāzish kare hai
vahī phir shab-o-roz sāzish kare hai
vo dhoke pe dhoka diye jaa.e lekin
ye dil phir bhī us kī sifārish kare hai
kisī din mile vo khilaunoñ kī sūrat
mirā dil bhī bachchoñ sī ḳhvāhish kare hai
ye dil kā ḳhalal jaan le kar rahegā
masīhā to be-kār koshish kare hai
maiñ us kī ragoñ meñ lahū ban ke dauḌūñ
vo mere badan meñ rihā.ish kare hai
use pyaas sahrā kī bhātī nahīñ hai
vo 'fārūq' dariyā pe bārish kare hai
jo pahle zara si nawazish kare hai
wahi phir shab-o-roz sazish kare hai
wo dhoke pe dhoka diye jae lekin
ye dil phir bhi us ki sifarish kare hai
kisi din mile wo khilaunon ki surat
mera dil bhi bachchon si KHwahish kare hai
ye dil ka KHalal jaan le kar rahega
masiha to be-kar koshish kare hai
main us ki ragon mein lahu ban ke dauDun
wo mere badan mein rihaish kare hai
use pyas sahra ki bhati nahin hai
wo 'faruq' dariya pe barish kare hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.