jo parwane ke qabze mein dil-e-mastana ho jae
jo parvāne ke qabze meñ dil-e-mastāna ho jaa.e
ba-zor-e-jazb-fitrī sham.a ḳhud parvāna ho jaa.e
mirī ujḌī huī mahfil meñ tum ik baar aa jaao
abhī dair-o-haram meñ ḳhaak uḌe vīrāna ho jaa.e
na aanā haañ na aanā tum vahīñ rahnā vahīñ rahnā
kahīñ bīmār-e-hijrāñ diid se achchhā na ho jaa.e
na pūchho hāl-e-dil ummīd bañdh ke TuuT jaatī hai
yagāna ban ke phir koī agar begāna ho jaa.e
tumheñ hai iḳhtiyār ābād yā barbād kar Daalo
bahar-sūrat mukammal ab mirā afsāna ho jaa.e
ye ḳhuddārī kī daulat jis ko mil jaa.e zamāne meñ
ḳhudī bhūle vo hast-o-būd se begāna ho jaa.e
mirā dil toḌ kar barbād karte to haiñ vo 'ālim'
ye musht-e-ḳhāk miT kar ik na.ī duniyā na ho jaa.e
jo parwane ke qabze mein dil-e-mastana ho jae
ba-zor-e-jazb-fitri shama KHud parwana ho jae
meri ujDi hui mahfil mein tum ek bar aa jao
abhi dair-o-haram mein KHak uDe virana ho jae
na aana han na aana tum wahin rahna wahin rahna
kahin bimar-e-hijran did se achchha na ho jae
na puchho haal-e-dil ummid bandh ke TuT jati hai
yagana ban ke phir koi agar begana ho jae
tumhein hai iKHtiyar aabaad ya barbaad kar Dalo
bahar-surat mukammal ab mera afsana ho jae
ye KHuddari ki daulat jis ko mil jae zamane mein
KHudi bhule wo hast-o-bud se begana ho jae
mera dil toD kar barbaad karte to hain wo 'alim'
ye musht-e-KHak miT kar ek nai duniya na ho jae
- Book : دامن تار تار (Pg. 106)
- Author : سید عالم واسطی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.