jo peD sab ko kaDi dhup se bachata hai
jo peḌ sab ko kaḌī dhuup se bachātā hai
vo sardiyoñ meñ alāvoñ ke kaam aatā hai
yahāñ fareb ke kāñToñ kī ug rahī hai fasl
tū e'tibār kī chādar kahāñ bichhātā hai
bharosa tujh pe karūñ bhī to kis tarah ai dost
tū baat baat pe ehsān jo ginātā hai
tū mere paas hai itnā bahut hai mere liye
tū mere saath nahīñ hai ye kyoñ batātā hai
mirā mizāj badal de mire ḳhudā ab to
jise bhī dekho vahī fā.eda uThātā hai
maiñ jiit kar bhī kahāñ us se jiit paatā huuñ
vo haar kar bhī kahāñ mujh se haar paatā hai
vo rāhzan hai magar phir bhī jaane kyoñ ai 'nāz'
koī koī to use rāhbar batātā hai
jo peD sab ko kaDi dhup se bachata hai
wo sardiyon mein alawon ke kaam aata hai
yahan fareb ke kanTon ki ug rahi hai fasl
tu e'tibar ki chadar kahan bichhata hai
bharosa tujh pe karun bhi to kis tarah ai dost
tu baat baat pe ehsan jo ginata hai
tu mere pas hai itna bahut hai mere liye
tu mere sath nahin hai ye kyon batata hai
mera mizaj badal de mere KHuda ab to
jise bhi dekho wahi faeda uThata hai
main jit kar bhi kahan us se jit pata hun
wo haar kar bhi kahan mujh se haar pata hai
wo rahzan hai magar phir bhi jaane kyon ai 'naz'
koi koi to use rahbar batata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.