jo phira ke usne munh ko ba-qafa naqab ulTa
jo phira ke usne munh ko ba-qafa naqab ulTa
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
jo phirā ke us ne muñh ko ba-qafā naqāb ulTā
udhar āsmān ulTā udhar āftāb ulTā
na qafas meñ aise mujh ko tū asiir kiijo sayyād
ki ghaḌī ghaḌī vo hove dam-e-iztirāb ulTā
mare haal par muġhāñ ne ye karam kiyā ki hañs hañs
mire nange sar pe rakkhā qadah-e-sharāb ulTā
tirā tishna-lab jahāñ se jo gayā lahad pe us kī
pas-e-marg bhī kisī ne na sabū-e-āb ulTā
mirī aah ne jo kholī ye qushūn-e-ashk bairaq
vahīñ barq-o-rā'd le kar ilm-e-sahāb ulTā
jo ḳhayāl meñ kisū ke shab-e-hijr so gayā ho
na ho sub.h ko ilāhī kabhī us kā ḳhvāb ulTā
mire dam ulaTne kī jo ḳhabar us ko dī kisī ne
vahīñ niim rah se qāsid ba-sad iztirāb ulTā
jo 'alī kā hukm nāfiz na falak pe thā to phir kyoñ
ba-gah-e-ġhurūb aayā nikal āftāb ulTā
agar is meñ tū sah-ġhazla jo kahe to kaam bhī hai
nahīñ 'mus.hafī' maza kyā jo do rū kabāb ulTā
jo phira ke us ne munh ko ba-qafa naqab ulTa
udhar aasman ulTa udhar aaftab ulTa
na qafas mein aise mujh ko tu asir kijo sayyaad
ki ghaDi ghaDi wo howe dam-e-iztirab ulTa
mare haal par mughan ne ye karam kiya ki hans hans
mere nange sar pe rakkha qadah-e-sharab ulTa
tera tishna-lab jahan se jo gaya lahad pe us ki
pas-e-marg bhi kisi ne na sabu-e-ab ulTa
meri aah ne jo kholi ye qushun-e-ashk bairaq
wahin barq-o-ra'd le kar ilm-e-sahab ulTa
jo KHayal mein kisu ke shab-e-hijr so gaya ho
na ho subh ko ilahi kabhi us ka KHwab ulTa
mere dam ulaTne ki jo KHabar us ko di kisi ne
wahin nim rah se qasid ba-sad iztirab ulTa
jo 'ali ka hukm nafiz na falak pe tha to phir kyon
ba-gah-e-ghurub aaya nikal aaftab ulTa
agar is mein tu sah-ghazla jo kahe to kaam bhi hai
nahin 'mushafi' maza kya jo do ru kabab ulTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.