jo pi raha hai sada KHun be-gunahon ka
jo pī rahā hai sadā ḳhuun be-gunāhoñ kā
vo shaḳhs to hai numā.inda kaj-kulāhoñ kā
jise bhī chāhā salīb-e-sitam pe khīñch diyā
faqīh-e-shahr to qaa.il nahīñ gavāhoñ kā
ham ahl-e-dil haiñ sadāqat hamārā sheva hai
hameñ Darā na sakegā jalāl shāhoñ kā
har ek qadr ko rusvā.iyāñ milīñ in se
ajiib sā rahā kirdār-e-dīñ panāhoñ kā
mirī zamīn ko maqbūza tū zamīñ na samajh
ki TūTne ko hai afsūñ tirī sipāhoñ kā
abhī to azm-e-safar bhī kiyā na thā ham ne
ki jaag uTThā har ik zarra shāh-rāhoñ kā
jo pi raha hai sada KHun be-gunahon ka
wo shaKHs to hai numainda kaj-kulahon ka
jise bhi chaha salib-e-sitam pe khinch diya
faqih-e-shahr to qail nahin gawahon ka
hum ahl-e-dil hain sadaqat hamara shewa hai
hamein Dara na sakega jalal shahon ka
har ek qadr ko ruswaiyan milin in se
ajib sa raha kirdar-e-din panahon ka
meri zamin ko maqbuza tu zamin na samajh
ki TuTne ko hai afsun teri sipahon ka
abhi to azm-e-safar bhi kiya na tha hum ne
ki jag uTTha har ek zarra shah-rahon ka
- Book : Shora-e-London (Pg. 43)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.