jo pure hone se rah gae the wo KHwab rakkhe hue hain ghar mein
jo pure hone se rah gae the wo KHwab rakkhe hue hain ghar mein
Mohammad Mubashshir Mayo
MORE BYMohammad Mubashshir Mayo
jo puure hone se rah ga.e the vo ḳhvāb rakkhe hue haiñ ghar meñ
yaqīn maano purānī rut ke gulāb rakkhe hue haiñ ghar meñ
tumhāre lafzoñ kī dhīmī ḳhushbū havās-e-ḳhamsa ko nochtī hai
ḳhatoñ kī sūrat meñ sach kahūñ to azaab rakkhe hue haiñ ghar meñ
visāl lamhoñ kā goshvāra alag se likkhā hai diary meñ
alag se furqat kī bebasī ke hisāb rakkhe hue haiñ ghar meñ
hameñ paḌhānā hai apne bachchoñ ko apnī nasleñ sañvārnī haiñ
isī liye to ham apnī hālat ḳharāb rakkhe hue haiñ ghar meñ
jo pure hone se rah gae the wo KHwab rakkhe hue hain ghar mein
yaqin mano purani rut ke gulab rakkhe hue hain ghar mein
tumhaare lafzon ki dhimi KHushbu hawas-e-KHamsa ko nochti hai
KHaton ki surat mein sach kahun to azab rakkhe hue hain ghar mein
visal lamhon ka goshwara alag se likkha hai diary mein
alag se furqat ki bebasi ke hisab rakkhe hue hain ghar mein
hamein paDhana hai apne bachchon ko apni naslen sanwarni hain
isi liye to hum apni haalat KHarab rakkhe hue hain ghar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.