jo qissa tha KHud se chhupaya hua
jo qissa thā ḳhud se chhupāyā huā
vo thā shahr bhar ko sunāyā huā
muḳhālif se sulh-o-safā.ī jo kī
ka.ī dostoñ kā safāyā huā
jo mahfil meñ pahchāntā tak na thā
tasavvur meñ baiThā hai aayā huā
har ik zaḳhm jā.egā mere hī saath
namak sab ne hai merā khāyā huā
nazar aa rahā hai jo vo āsmāñ
ye hai mere rab kā banāyā huā
jo qissa tha KHud se chhupaya hua
wo tha shahr bhar ko sunaya hua
muKHalif se sulh-o-safai jo ki
kai doston ka safaya hua
jo mahfil mein pahchanta tak na tha
tasawwur mein baiTha hai aaya hua
har ek zaKHm jaega mere hi sath
namak sab ne hai mera khaya hua
nazar aa raha hai jo wo aasman
ye hai mere rab ka banaya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.