jo rah-e-ishq mein TuTa nahin hai
jo rāh-e-ishq meñ TuuTā nahīñ hai
vo dil ik sang hai shīsha nahīñ hai
bhulā deñ vo mujhe aisā nahīñ hai
magar ab jī kahīñ lagtā nahīñ hai
ḳhudāyā laaj rakhnā zabt-e-ġham kī
mizāj-e-zindagī achchhā nahīñ hai
hukūmat zehn-o-dil par hai usī kī
jise ham ne kabhī dekhā nahīñ hai
use duniyā kī āñkheñ tak rahī haiñ
vo bādal jo abhī barsā nahīñ hai
nazar ke sāmne parda hai 'mashkūr'
diloñ ke darmiyāñ parda nahīñ hai
jo rah-e-ishq mein TuTa nahin hai
wo dil ek sang hai shisha nahin hai
bhula den wo mujhe aisa nahin hai
magar ab ji kahin lagta nahin hai
KHudaya laj rakhna zabt-e-gham ki
mizaj-e-zindagi achchha nahin hai
hukumat zehn-o-dil par hai usi ki
jise hum ne kabhi dekha nahin hai
use duniya ki aankhen tak rahi hain
wo baadal jo abhi barsa nahin hai
nazar ke samne parda hai 'mashkur'
dilon ke darmiyan parda nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.