jo rah-e-mulaqat thi so jaan gae hum
jo rāh-e-mulāqāt thī so jaan ga.e ham
ai ḳhizr-e-tasavvur tire qurbān ga.e ham
jam.iyyat-e-husn aap kī sab par huī zāhir
jis bazm meñ bā-hāl-e-pareshān ga.e ham
us ghar ke tasavvur meñ juuñ hī band kiiñ āñkheñ
sad-shukr ki be-minnat-e-darbān ga.e ham
kal vāqif-kār apne se kahtā thā vo ye baat
'jur.at' ke jo ghar raat ko mehmān ga.e ham
kyā jāniye kam-baḳht ne kyā ham pe kiyā sehr
jo baat na thī mānñe kī maan ga.e ham
jo rah-e-mulaqat thi so jaan gae hum
ai KHizr-e-tasawwur tere qurban gae hum
jamiyyat-e-husn aap ki sab par hui zahir
jis bazm mein ba-haal-e-pareshan gae hum
us ghar ke tasawwur mein jun hi band kin aankhen
sad-shukr ki be-minnat-e-darban gae hum
kal waqif-kar apne se kahta tha wo ye baat
'jurat' ke jo ghar raat ko mehman gae hum
kya jaaniye kam-baKHt ne kya hum pe kiya sehr
jo baat na thi manne ki man gae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.