jo rabt meri teri nabz Dubne tak hai
jo rabt merī tirī nabz Dūbne tak hai
mubālaġha bhī kareñ to nibāhane tak hai
mirī hī ārzū-e-dil kā sho.abada hai tū
tirā vajūd faqat sehr TūTne tak hai
irāde kitnī hī umroñ ke bāñdh rakkhe haiñ
magar nigāh kī had apne sāmne tak hai
tire mizāj kī tabdīliyoñ se vāqif huuñ
ye mehrbānī mire hoñT kholne tak hai
girah-kushā kabhī sirr-e-jamāl tujh pe bhī ho
tirī rasā.ī magar ghar ke aa.ine tak hai
palaT ke aa.e na aa.e koī sune na sune
sadā kā kaam fazāoñ meñ gūñjte tak hai
vo ek baat jo afsāna ban ga.ī 'yāsir'
kisī kā husn sarāpā sarāhne tak hai
jo rabt meri teri nabz Dubne tak hai
mubaalagha bhi karen to nibahane tak hai
meri hi aarzu-e-dil ka shoabada hai tu
tera wajud faqat sehr TuTne tak hai
irade kitni hi umron ke bandh rakkhe hain
magar nigah ki had apne samne tak hai
tere mizaj ki tabdiliyon se waqif hun
ye mehrbani mere honT kholne tak hai
girah-kusha kabhi sirr-e-jamal tujh pe bhi ho
teri rasai magar ghar ke aaine tak hai
palaT ke aae na aae koi sune na sune
sada ka kaam fazaon mein gunjte tak hai
wo ek baat jo afsana ban gai 'yasir'
kisi ka husn sarapa sarahne tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.