jo rahe dil ke aas-pas bahut
jo rahe dil ke ās-pās bahut
un ko honā paḌā udaas bahut
go ki the ek dūsre kā libās
ham ne badle magar libās bahut
har-bun-e-mū meñ ḳhaar kī hai khaTak
ham kabhī the guloñ ke paas bahut
tujh ko bhī bevafā.ī karnī thī
zindagī tujh se kī thī aas bahut
un kī fitrat meñ bhī vafā kam-kam
aur ye dil ki nā-sipās bahut
jo rahe dil ke aas-pas bahut
un ko hona paDa udas bahut
go ki the ek dusre ka libas
hum ne badle magar libas bahut
har-bun-e-mu mein KHar ki hai khaTak
hum kabhi the gulon ke pas bahut
tujh ko bhi bewafai karni thi
zindagi tujh se ki thi aas bahut
un ki fitrat mein bhi wafa kam-kam
aur ye dil ki na-sipas bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.