jo riwayat ka munkir ho aae
jo rivāyat kā munkir ho aa.e
naqsh-hā-e-buzurgāñ miTā.e
un ke dil meñ jagah mil ga.ī hai
merī qīmat zamāna lagā.e
maiñ samundar pe hañstā rahūñgā
yā mirī tishnagī ye bujhā.e
ġham kī hurmat isī meñ chhupī hai
ek aañsū bhī girne na paa.e
zindagī mere qadmoñ tale hai
maut mujh pe ab aañsū bahā.e
jo riwayat ka munkir ho aae
naqsh-ha-e-buzurgan miTae
un ke dil mein jagah mil gai hai
meri qimat zamana lagae
main samundar pe hansta rahunga
ya meri tishnagi ye bujhae
gham ki hurmat isi mein chhupi hai
ek aansu bhi girne na pae
zindagi mere qadmon tale hai
maut mujh pe ab aansu bahae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.