jo roz ki hai baat wahi baat karo ho
jo roz kī hai baat vahī baat karo ho
bekār hī yaaro ġham-e-hālāt karo ho
ik mujh se hī milne ko tumheñ vaqt nahīñ hai
auroñ pe to aksar hī ināyāt karo ho
ye tarz-e-takallum tumheñ aayā hai kahāñ se
hoñToñ se jo ye phūloñ kī barsāt karo ho
kyuuñ chāñd se chehre pe girā rakhī haiñ zulfeñ
kyuuñ din ko amāvas kī siyah raat karo ho
be-vahm-o-gumāñ raah meñ mil jaate ho aksar
dānista kahāñ mujh se mulāqāt karo ho
jo roz ki hai baat wahi baat karo ho
bekar hi yaro gham-e-haalat karo ho
ek mujh se hi milne ko tumhein waqt nahin hai
auron pe to aksar hi inayat karo ho
ye tarz-e-takallum tumhein aaya hai kahan se
honTon se jo ye phulon ki barsat karo ho
kyun chand se chehre pe gira rakhi hain zulfen
kyun din ko amawas ki siyah raat karo ho
be-wahm-o-guman rah mein mil jate ho aksar
danista kahan mujh se mulaqat karo ho
- Book : Khwab Aasmano ke (Pg. 99)
- Author : Javed Nasimi
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.