jo ruKH pe Dale hue wo naqab niklega
jo ruḳh pe Daale hue vo naqāb niklegā
ik inqalāb pas-e-inqalāb niklegā
abhī tak oḌhe hue huuñ maiñ barf kī chādar
hai intizār abhī āftāb niklegā
safar ke saath shu'ūr-e-safar zarūrī hai
qadam qadam pe nayā ik sarāb niklegā
chubhan jo hotī hai tum ko to dekhnā ik din
har ek lafz hamārā gulāb niklegā
agar talāsh karoge zabān kā shā'ir
to 'shān-bhārtī' hī intiḳhāb niklegā
jo ruKH pe Dale hue wo naqab niklega
ek inqalab pas-e-inqalab niklega
abhi tak oDhe hue hun main barf ki chadar
hai intizar abhi aaftab niklega
safar ke sath shu'ur-e-safar zaruri hai
qadam qadam pe naya ek sarab niklega
chubhan jo hoti hai tum ko to dekhna ek din
har ek lafz hamara gulab niklega
agar talash karoge zaban ka sha'ir
to 'shan-bhaarti' hi intiKHab niklega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.