Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo ruKH se parda uThao to koi baat bane

Hairat Farrukhabadi

jo ruKH se parda uThao to koi baat bane

Hairat Farrukhabadi

MORE BYHairat Farrukhabadi

    jo ruḳh se parda uThāo to koī baat bane

    hameñ bhī jalva dikhāo to koī baat bane

    hamāre sāmne aao to koī baat bane

    hamāre hosh uḌaao to koī baat bane

    sunā hai tuur pe muusā gire the sajde meñ

    hameñ bhī sajda karāo to koī baat bane

    ġhamoñ aag hai dil meñ jahān jaltā hai

    zarā ye aag bujhāo to koī baat bane

    ajiib Dhañg se toḌā hai dil mohabbat ne

    ise bhī aas bañdhāo to koī baat bane

    bahut udaas hai tārīk hai jahāñ merā

    kahīñ se raushnī laao to koī baat bane

    ḳhirad ke diip bujhe chaar añdherā hai

    jalāo dil jalāo to koī baat bane

    azal se naam sunā hai sharāb-e-vahdat

    kabhī hameñ bhī pilāo to koī baat bane

    yūñhī guzār jo zindagī to kyā hāsil

    kisī ke kaam jo aao to koī baat bane

    sunā hai ham ne dikhāte ho mo.ajaze aksar

    maiñ gir gayā huuñ uThāo to koī baat bane

    vo jis meñ naam tumhārā hamārā aatā hai

    vahī fasāna sunāo to koī baat bane

    tumhārā tark-e-mohabbat bhī nā-mukammal hai

    ḳhayāl meñ bhī na aao to koī baat bane

    fareb khaa.e haiñ 'hairat' tarah tarah ke magar

    fareb-e-ishq bhī khaao to koī baat bane

    jo ruKH se parda uThao to koi baat bane

    hamein bhi jalwa dikhao to koi baat bane

    hamare samne aao to koi baat bane

    hamare hosh uDao to koi baat bane

    suna hai tur pe musa gire the sajde mein

    hamein bhi sajda karao to koi baat bane

    ghamon ki aag hai dil mein jahan jalta hai

    zara ye aag bujhao to koi baat bane

    ajib Dhang se toDa hai dil mohabbat ne

    ise bhi aas bandhao to koi baat bane

    bahut udas hai tarik hai jahan mera

    kahin se raushni lao to koi baat bane

    KHirad ke dip bujhe chaar su andhera hai

    jalao dil hi jalao to koi baat bane

    azal se nam suna hai sharab-e-wahdat ka

    kabhi hamein bhi pilao to koi baat bane

    yunhi guzar di jo zindagi to kya hasil

    kisi ke kaam jo aao to koi baat bane

    suna hai hum ne dikhate ho moajaze aksar

    main gir gaya hun uThao to koi baat bane

    wo jis mein nam tumhaara hamara aata hai

    wahi fasana sunao to koi baat bane

    tumhaara tark-e-mohabbat bhi na-mukammal hai

    KHayal mein bhi na aao to koi baat bane

    fareb khae hain 'hairat' tarah tarah ke magar

    fareb-e-ishq bhi khao to koi baat bane

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now