jo sae mein shajar ke hon unhen jalte nahin dekha
jo saa.e meñ shajar ke hoñ unheñ jalte nahīñ dekhā
magar qad-kāTh bhī un kā kabhī baḌhte nahīñ dekhā
koī marham to aisā ho jo mere zaḳhm bhar jaa.eñ
zabāñ ne jo lagā.e hoñ unheñ bharte nahīñ dekhā
musāfir the jo haq ke gar tah-e-ḳhanjar hue bhī to
janāze uThte dekhe haiñ unheñ marte nahīñ dekhā
jinheñ tum ḳhvāb kahte ho haqīqat banñe vaale haiñ
haqīqat meñ kabhī ḳhvāboñ ko yuuñ marte nahīñ dekhā
jarī thā vo bahādur thā use rab par yaqīñ kāmil
kisī ko is tarah dushman se bhī laḌte nahīñ dekhā
use bas apne logoñ se kuchh aisī ḳhaas nisbat hai
ki ġhairoñ se kabhī ham ne use milte nahīñ dekhā
jo sae mein shajar ke hon unhen jalte nahin dekha
magar qad-kaTh bhi un ka kabhi baDhte nahin dekha
koi marham to aisa ho jo mere zaKHm bhar jaen
zaban ne jo lagae hon unhen bharte nahin dekha
musafir the jo haq ke gar tah-e-KHanjar hue bhi to
janaze uThte dekhe hain unhen marte nahin dekha
jinhen tum KHwab kahte ho haqiqat banne wale hain
haqiqat mein kabhi KHwabon ko yun marte nahin dekha
jari tha wo bahadur tha use rab par yaqin kaamil
kisi ko is tarah dushman se bhi laDte nahin dekha
use bas apne logon se kuchh aisi KHas nisbat hai
ki ghairon se kabhi hum ne use milte nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.