jo samne hai mere wo ghubar kya hoga
jo sāmne hai mire vo ġhubār kyā hogā
ab is se baḌh ke mirā intishār kyā hogā
tamām zarre bikhar kar sameT leñge mujhe
ye jāntā huuñ sar-e-kohsār kyā hogā
har ek ahd meñ TuuTā huuñ phir bhī jāntā huuñ
shikasta logoñ meñ merā shumār kyā hogā
har ek shaḳhs jahāñ apne aap meñ gum ho
vahāñ ham ahl-e-hunar kā shumār kyā hogā
ye aur baat ki maiñ sahn-e-intizār meñ huuñ
magar jo ho chukā vo baar baar kyā hogā
tamām justujū-e-shauq rā.egāñ ai 'shām'
mujhe ḳhabar hai pas-e-intizār kyā hogā
jo samne hai mere wo ghubar kya hoga
ab is se baDh ke mera intishaar kya hoga
tamam zarre bikhar kar sameT lenge mujhe
ye jaanta hun sar-e-kohsar kya hoga
har ek ahd mein TuTa hun phir bhi jaanta hun
shikasta logon mein mera shumar kya hoga
har ek shaKHs jahan apne aap mein gum ho
wahan hum ahl-e-hunar ka shumar kya hoga
ye aur baat ki main sahn-e-intizar mein hun
magar jo ho chuka wo bar bar kya hoga
tamam justuju-e-shauq raegan ai 'sham'
mujhe KHabar hai pas-e-intizar kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.