jo samne tufan ke aaya nahin karte
jo sāmne tūfān ke aayā nahīñ karte
ham aise charāġhoñ ko jalāyā nahīñ karte
jo sun ke uḌā dete hoñ har baat hañsī meñ
ahvāl unheñ dil ke sunāyā nahīñ karte
kis tarah phale-phūle mohabbat ye hamārī
vo ruuTh to jaate haiñ manāyā nahīñ karte
rakhte haiñ mobile meñ mohabbat kī nishānī
ab phuul kitāboñ meñ chhupāyā nahīñ karte
ta.adād sitāroñ kī ziyāda to hai lekin
sūraj ke muqābil kabhī aayā nahīñ karte
rizvān bane baiThe haiñ vo log yahāñ par
jo pair kabhī maañ ke dabāyā nahīñ karte
kahte haiñ baḌe būḌhe kī ghaT jaatī haiñ izzat
har roz kisī ke yahāñ jaayā nahīñ karte
jo samne tufan ke aaya nahin karte
hum aise charaghon ko jalaya nahin karte
jo sun ke uDa dete hon har baat hansi mein
ahwal unhen dil ke sunaya nahin karte
kis tarah phale-phule mohabbat ye hamari
wo ruTh to jate hain manaya nahin karte
rakhte hain mobile mein mohabbat ki nishani
ab phul kitabon mein chhupaya nahin karte
tadad sitaron ki ziyaada to hai lekin
suraj ke muqabil kabhi aaya nahin karte
rizwan bane baiThe hain wo log yahan par
jo pair kabhi man ke dabaya nahin karte
kahte hain baDe buDhe ki ghaT jati hain izzat
har roz kisi ke yahan jaya nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.