jo saqiya tu ne pi ke hum ko diya hai jam-e-sharab aadha
jo saqiya tu ne pi ke hum ko diya hai jam-e-sharab aadha
Asad Ali Khan Qalaq
MORE BYAsad Ali Khan Qalaq
jo sāqiyā tū ne pī ke ham ko diyā hai jām-e-sharāb aadhā
tū apne dāñtoñ se kaaT kar de hamāre muñh meñ kabāb aadhā
vo pur-gunah huuñ ki rah ga.e sab usī meñ din kaT gayā vo saarā
hanūz mahshar ke mahkame meñ huā thā merā hisāb aadhā
kahāñ ga.ī ab vo lan-tarānī na taab jalve kī laa.e āshiq
hunūz kholā thā bahr-e-dīdār us ne band-e-naqāb aadhā
jazā-e-kāmil jo chāhtā hai to zab.h kar Daal jald qātil
na chhoḌnā mujh ko nīm-bismil ki pā.egā tū savāb aadhā
dimāġh dekho mire sanam kā gilā jo kartā huuñ maiñ sitam kā
to dete haiñ saarī baat kā vo mujhe ba-diqqat javāb aadhā
safed-o-surḳh hai aisī rañgat ki jab banā hogā us kā putlā
milāyā hovegā us meñ sāne.a ne maidā aadhā shahāb aadhā
dupaTTa āb-e-ravāñ kā sar kā jo us kī mahram se samjhe ye ham
ki bahr-e-husn-e-sanam kā ham ko diyā dikhā.ī habāb aadhā
ishāra hai saaf ai 'qalaq' ye ki aao sahbā-kashī ho bāham
jo us ne bhejī hai apnī jhūTī sharāb aadhī kabāb aadhā
jo saqiya tu ne pi ke hum ko diya hai jam-e-sharab aadha
tu apne danton se kaT kar de hamare munh mein kabab aadha
wo pur-gunah hun ki rah gae sab usi mein din kaT gaya wo sara
hanuz mahshar ke mahkame mein hua tha mera hisab aadha
kahan gai ab wo lan-tarani na tab jalwe ki lae aashiq
hunuz khola tha bahr-e-didar us ne band-e-naqab aadha
jaza-e-kaamil jo chahta hai to zabh kar Dal jald qatil
na chhoDna mujh ko nim-bismil ki paega tu sawab aadha
dimagh dekho mere sanam ka gila jo karta hun main sitam ka
to dete hain sari baat ka wo mujhe ba-diqqat jawab aadha
safed-o-surKH hai aisi rangat ki jab bana hoga us ka putla
milaya howega us mein sanea ne maida aadha shahab aadha
dupaTTa aab-e-rawan ka sar ka jo us ki mahram se samjhe ye hum
ki bahr-e-husn-e-sanam ka hum ko diya dikhai habab aadha
ishaara hai saf ai 'qalaq' ye ki aao sahba-kashi ho baham
jo us ne bheji hai apni jhuTi sharab aadhi kabab aadha
- Mazhar-e-Ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.