jo sab ki KHair-KHwahi chahta hai
jo sab kī ḳhair-ḳhvāhī chāhtā hai
vo apnī vāh-vāhī chāhtā hai
faqīr-e-vaqt kī ḳhvāhish to dekho
ye taḳht-e-bādshāhī chāhtā hai
kabhī masjid kā darvāza na dekhā
magar qurb-e-ilāhī chāhtā hai
kar andar apne paidā ḳhāksārī
agar tū kaj-kulāhī chāhtā hai
mayassar ho use bhī manzil-e-‘ishq
mohabbat kā ye raahī chāhtā hai
marīz-e-hijr ko 'faisal' talab kyā
ġham-e-dil kī davā hī chāhtā hai
jo sab ki KHair-KHwahi chahta hai
wo apni wah-wahi chahta hai
faqir-e-waqt ki KHwahish to dekho
ye taKHt-e-baadshahi chahta hai
kabhi masjid ka darwaza na dekha
magar qurb-e-ilahi chahta hai
kar andar apne paida KHaksari
agar tu kaj-kulahi chahta hai
mayassar ho use bhi manzil-e-‘ishq
mohabbat ka ye rahi chahta hai
mariz-e-hijr ko 'faisal' talab kya
gham-e-dil ki dawa hi chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.