jo sach hi bechna paDe to mol-bhao kya karen
jo sach hī bechnā paḌe to mol-bhāo kyā kareñ
haiñ aks aks aa.ine to rakh-rakhāv kyā kareñ
haiñ shahr bhar meñ shādiyāñ har ek shaḳhs shādmāñ
kisī ke sāmne ham apne dil ke ghaav kyā kareñ
thī mutma.in nigāh bhī ke bah chukā hai sail-e-ġham
huā magar jo sahn-e-dil meñ jal-bhrāv kyā kareñ
ye kis ke ġham kī aañch se sulag rahā hai āsmāñ
bujhegā kis tarah zamīñ kā ye alaav kyā kareñ
jo titliyāñ nahīñ dikhā.ī deñ to fikr ho ga.ī
bahār kā chaman se ab hai chal-chalāv kyā kareñ
nadī meñ aa.ī baaḌh ko ḳhabar samajh rahe the ham
hamāre ghar kī samt bhī hai ab bahāv kyā kareñ
banā ke bhāñp dhuup ye uḌā na de hameñ kahīñ
hai jaan sard chhāñv kā kahāñ paḌāv kyā kareñ
hameñ zamīñ aziiz thī tumheñ falak kī aarzū
rah-e-hayāt kā ajiib thā ghumāv kyā kareñ
jo kal hameñ bachā.e thī samundaroñ ke darmiyāñ
'hinā' hai aaj Dūbne ko ḳhud vo naav kyā kareñ
jo sach hi bechna paDe to mol-bhao kya karen
hain aks aks aaine to rakh-rakhaw kya karen
hain shahr bhar mein shadiyan har ek shaKHs shadman
kisi ke samne hum apne dil ke ghaw kya karen
thi mutmain nigah bhi ke bah chuka hai sail-e-gham
hua magar jo sahn-e-dil mein jal-bhraw kya karen
ye kis ke gham ki aanch se sulag raha hai aasman
bujhega kis tarah zamin ka ye alaw kya karen
jo titliyan nahin dikhai den to fikr ho gai
bahaar ka chaman se ab hai chal-chalaw kya karen
nadi mein aai baDh ko KHabar samajh rahe the hum
hamare ghar ki samt bhi hai ab bahaw kya karen
bana ke bhanp dhup ye uDa na de hamein kahin
hai jaan sard chhanw ka kahan paDaw kya karen
hamein zamin aziz thi tumhein falak ki aarzu
rah-e-hayat ka ajib tha ghumaw kya karen
jo kal hamein bachae thi samundaron ke darmiyan
'hina' hai aaj Dubne ko KHud wo naw kya karen
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.