jo sach nahin hai wahi dikhana taras na khana
jo sach nahīñ hai vahī dikhānā taras na khānā
sadā hameñ bevafā batānā taras na khānā
kabhī jo tum se kahīñ mileñ ham to yaad rakhnā
hamārī hālat pe muskurānā taras na khānā
tumhīñ ko duniyā banā liyā hai so tum ko haq hai
hamārī duniyā ujaaḌ jaanā taras na khānā
daġhā kisī se kiyā nahīñ hai nahīñ kareñge
agar tumheñ bhī ho āzmānā taras na khānā
jo sach nahin hai wahi dikhana taras na khana
sada hamein bewafa batana taras na khana
kabhi jo tum se kahin milen hum to yaad rakhna
hamari haalat pe muskurana taras na khana
tumhin ko duniya bana liya hai so tum ko haq hai
hamari duniya ujaD jaana taras na khana
dagha kisi se kiya nahin hai nahin karenge
agar tumhein bhi ho aazmana taras na khana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.