jo sair-e-anjum-o-KHurshid ka irada kiya
jo sair-e-anjum-o-ḳhurshīd kā irāda kiyā
ġhubār raḳht-e-safar aur junūn jaada kiyā
bahut se kaam kiye haiñ tirī talab meñ magar
ye kār-e-dard zarūrat se kuchh ziyāda kiyā
fazā-e-hosh-o-ḳhirad meñ baḌā añdherā thā
so ham ne aañkh meñ raushan charāġh-e-bāda kiyā
baḌhā jo ġham kisī lamhe tirī judā.ī kā
to ham ne jaañ ke ziyāñ se bhī istifāda kiyā
vo rañg-e-husn bhī saada thā sāmne apne
so harf-e-arz-e-tamannā bhī ham ne saada kiyā
jo sair-e-anjum-o-KHurshid ka irada kiya
ghubar raKHt-e-safar aur junun jada kiya
bahut se kaam kiye hain teri talab mein magar
ye kar-e-dard zarurat se kuchh ziyaada kiya
faza-e-hosh-o-KHirad mein baDa andhera tha
so hum ne aankh mein raushan charagh-e-baada kiya
baDha jo gham kisi lamhe teri judai ka
to hum ne jaan ke ziyan se bhi istifada kiya
wo rang-e-husn bhi sada tha samne apne
so harf-e-arz-e-tamanna bhi hum ne sada kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.