jo saKHt-tar hai wo mushkil abhi nahin aai
jo saḳht-tar hai vo mushkil abhī nahīñ aa.ī
baḌho ki sarhad-e-manzil abhī nahīñ aa.ī
hayāt DhūñDegī jā-e-amāñ na pā.egī
vo āzmā.ish-e-qātil abhī nahīñ aa.ī
sin-e-bulūġh ko pahuñchā nahīñ junūñ shāyad
ki qaid-e-tauq-o-salāsil abhī nahīñ aa.ī
na jaane hoñge yahāñ qatl kitne haq vaale
samajh meñ sāzish-e-bātil abhī nahīñ aa.ī
ḳhudā kā shukr hai baaqī hai raushnī kī tamīz
ki sub.h shaam ke qābil abhī nahīñ aa.ī
kisī kī yaad meñ jalnā mujhe nahīñ aatā
ki ruḳh pe raushnī-e-dil abhī nahīñ aa.ī
paḌāv Daal na 'aḳhtar' rahe safar jaarī
fasīl-e-shām muqābil abhī nahīñ aa.ī
jo saKHt-tar hai wo mushkil abhi nahin aai
baDho ki sarhad-e-manzil abhi nahin aai
hayat DhunDegi ja-e-aman na paegi
wo aazmaish-e-qatil abhi nahin aai
sin-e-bulugh ko pahuncha nahin junun shayad
ki qaid-e-tauq-o-salasil abhi nahin aai
na jaane honge yahan qatl kitne haq wale
samajh mein sazish-e-baatil abhi nahin aai
KHuda ka shukr hai baqi hai raushni ki tamiz
ki subh sham ke qabil abhi nahin aai
kisi ki yaad mein jalna mujhe nahin aata
ki ruKH pe raushni-e-dil abhi nahin aai
paDaw Dal na 'aKHtar' rahe safar jari
fasil-e-sham muqabil abhi nahin aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.