jo salib-e-shab pe gunje wo sada kahiye mujhe
jo salīb-e-shab pe gūñje vo sadā kahiye mujhe
ye sitam kaisā ki sāz-e-be-navā kahiye mujhe
be-karāñ vus.at meñ huuñ maiñ TūTte tāroñ kī chīḳh
haañ kisī darmāñda rah-rav kī duā kahiye mujhe
merā har shīrāza barham ho gayā lamhoñ ke saath
muntashir aurāq kā ik silsila kahiye mujhe
sub.h se ab tak rahā maiñ saath us ke lekin ab
shaam ke jañgal meñ gum hotā huā kahiye mujhe
'nāz' maiñ bhī ātishīñ jazbāt rakhtā thā kabhī
ab ḳhunuk rātoñ kī barfīlī havā kahiye mujhe
jo salib-e-shab pe gunje wo sada kahiye mujhe
ye sitam kaisa ki saz-e-be-nawa kahiye mujhe
be-karan wusat mein hun main TuTte taron ki chiKH
han kisi darmanda rah-raw ki dua kahiye mujhe
mera har shiraaza barham ho gaya lamhon ke sath
muntashir auraq ka ek silsila kahiye mujhe
subh se ab tak raha main sath us ke lekin ab
sham ke jangal mein gum hota hua kahiye mujhe
'naz' main bhi aatishin jazbaat rakhta tha kabhi
ab KHunuk raaton ki barfili hawa kahiye mujhe
- Book : Lamhon Ki Sada (Pg. 21)
- Author : Naaz Qadri
- Publication : Maktaba Sadaf, Muzaffarpur (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.