jo samajhte the mar gaya hun main
jo samajhte the mar gayā huuñ maiñ
dekh leñ sab harā-bharā huuñ maiñ
apne Dar meñ hī mubtalā ho kar
apne andar chhupā huā huuñ maiñ
sun rahe haiñ sabhī tavajjoh se
terī bāteñ jo kar rahā huuñ maiñ
ai hasīñ shaḳhs ab tirī marzī
terī āñkhoñ pe mar chukā huuñ maiñ
maiñ bas ik kaam se milā thā use
vo samajhtī hai mubtalā huuñ maiñ
apnā nuqsān karne vaalā huuñ
āj-kal ḳhud se hī ḳhafā huuñ maiñ
mujh ko masrūfiyat hai daftar kī
vo samajhtā hai bevafā huuñ maiñ
maiñ vahī huuñ vahī 'saġhīr' ahmad
tere dil meñ kabhī rahā huuñ maiñ
jo samajhte the mar gaya hun main
dekh len sab hara-bhara hun main
apne Dar mein hi mubtala ho kar
apne andar chhupa hua hun main
sun rahe hain sabhi tawajjoh se
teri baaten jo kar raha hun main
ai hasin shaKHs ab teri marzi
teri aankhon pe mar chuka hun main
main bas ek kaam se mila tha use
wo samajhti hai mubtala hun main
apna nuqsan karne wala hun
aaj-kal KHud se hi KHafa hun main
mujh ko masrufiyat hai daftar ki
wo samajhta hai bewafa hun main
main wahi hun wahi 'saghir' ahmad
tere dil mein kabhi raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.