jo samjhate bhi aa kar waiz-e-barham to kya karte
jo samjhāte bhī aa kar vā.iz-e-barham to kyā karte
ham is duniyā ke aage us jahāñ kā ġham to kyā karte
haram se mai-kade tak manzil-e-yak-umr thī saaqī
sahārā gar na detī laġhzish-e-paiham to kyā karte
jo miTTī ko mizāj-e-gul atā kar deñ vo ai vaa.iz
zamīñ se duur fikr-e-jannat-e-ādam to kyā karte
savāl un kā javāb un kā sukūt un kā ḳhitāb un kā
ham un kī anjuman meñ sar na karte ḳham to kyā karte
jahāñ 'majrūh' dil ke hausle TūTeñ nigāhoñ se
vahāñ karte bhī marg-e-shauq kā mātam to kyā karte
jo samjhate bhi aa kar waiz-e-barham to kya karte
hum is duniya ke aage us jahan ka gham to kya karte
haram se mai-kade tak manzil-e-yak-umr thi saqi
sahaara gar na deti laghzish-e-paiham to kya karte
jo miTTi ko mizaj-e-gul ata kar den wo ai waiz
zamin se dur fikr-e-jannat-e-adam to kya karte
sawal un ka jawab un ka sukut un ka KHitab un ka
hum un ki anjuman mein sar na karte KHam to kya karte
jahan 'majruh' dil ke hausle TuTen nigahon se
wahan karte bhi marg-e-shauq ka matam to kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.