jo sar par hai shajar mera nahin hai
jo sar par hai shajar merā nahīñ hai
makīñ huuñ aur ghar merā nahīñ hai
kisī kā hai magar merā bhī hai vo
jo merā hai magar merā nahīñ hai
muqarrar jis taraf manzil hai merī
usī jānib safar merā nahīñ hai
huuñ lab-basta ki tū mujrim na Thahre
merī jaañ ye mafar merā nahīñ hai
pukārūñ kyā use gar hai vo merā
na lauTegā agar merā nahīñ hai
jo sar par hai shajar mera nahin hai
makin hun aur ghar mera nahin hai
kisi ka hai magar mera bhi hai wo
jo mera hai magar mera nahin hai
muqarrar jis taraf manzil hai meri
usi jaanib safar mera nahin hai
hun lab-basta ki tu mujrim na Thahre
meri jaan ye mafar mera nahin hai
pukarun kya use gar hai wo mera
na lauTega agar mera nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.