jo shana gesu-e-jaanan mein hum kabhu karte
jo shāna gesū-e-jānāñ meñ ham kabhū karte
tirī bhī ai dil-e-gum-gashta justujū karte
hamāre dil pe ye aafat na aatī ik sar-e-mū
pasand ham jo na vo zulf-e-mushkbū karte
siyāh-baḳht-e-azal huuñ kahāñ haiñ aaise nasīb
ki qatl kar ke mujhe aap sruḳh-rū karte
ye aarzū rahī dil meñ hamāre tā-dam-e-naza.a
jo aatā yaar to kuchh us se guftugū karte
jo shana gesu-e-jaanan mein hum kabhu karte
teri bhi ai dil-e-gum-gashta justuju karte
hamare dil pe ye aafat na aati ek sar-e-mu
pasand hum jo na wo zulf-e-mushkbu karte
siyah-baKHt-e-azal hun kahan hain aaise nasib
ki qatl kar ke mujhe aap sruKH-ru karte
ye aarzu rahi dil mein hamare ta-dam-e-naza
jo aata yar to kuchh us se guftugu karte
- Book : Intekhab-e-kalam Shuur Bilgiramii (Pg. 82)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.