jo shab hui to nazare utar ke aae hain
jo shab huī to nazāre utar ke aa.e haiñ
zamīñ pe dekho sitāre utar ke aa.e haiñ
kisī kī niiñd abhī tak hai beach dariyā meñ
kisī ke ḳhvāb kināre utar ke aa.e haiñ
havā ke lams ne āvāz dī hai maazī ko
bujhe se dil pe sharāre utar ke aa.e haiñ
ye kis kā zikr havāoñ ne aaj chheḌā hai
lahūñ ke aañkh se dhāre utar ke aa.e haiñ
bhaTak rahe the ḳhalāoñ meñ chāñd-tāre jo
tirī talāsh meñ saare utar ke aa.e haiñ
falak ko dekh ke 'jyotī' yahī huā mahsūs
falak pe rañg tumhāre utar ke aa.e haiñ
jo shab hui to nazare utar ke aae hain
zamin pe dekho sitare utar ke aae hain
kisi ki nind abhi tak hai beach dariya mein
kisi ke KHwab kinare utar ke aae hain
hawa ke lams ne aawaz di hai mazi ko
bujhe se dil pe sharare utar ke aae hain
ye kis ka zikr hawaon ne aaj chheDa hai
lahun ke aankh se dhaare utar ke aae hain
bhaTak rahe the KHalaon mein chand-tare jo
teri talash mein sare utar ke aae hain
falak ko dekh ke 'jyoti' yahi hua mahsus
falak pe rang tumhaare utar ke aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.