jo shaKHs rah banata raha daraKHton mein
jo shaḳhs raah banātā rahā daraḳhtoñ meñ
usī ko chhoḌ gayā rāsta daraḳhtoñ meñ
uchhal paḌā thā jab ik baar jhiil kā paanī
badan chhupātī phirī thī havā daraḳhtoñ meñ
nikal to aa.ī kiran aarzū ke jañgal se
ulajh ke rah ga.ī lekin qabā daraḳhtoñ meñ
zamāne bhar kī tamāzat se thā sukūñ lekin
ajiib ḳhauf kā ehsās thā daraḳhtoñ meñ
kahīñ charāġh kahīñ ā.īna kahīñ ḳhushbū
ravāñ hai koī ajab qāfila daraḳhtoñ meñ
jo shaKHs rah banata raha daraKHton mein
usi ko chhoD gaya rasta daraKHton mein
uchhal paDa tha jab ek bar jhil ka pani
badan chhupati phiri thi hawa daraKHton mein
nikal to aai kiran aarzu ke jangal se
ulajh ke rah gai lekin qaba daraKHton mein
zamane bhar ki tamazat se tha sukun lekin
ajib KHauf ka ehsas tha daraKHton mein
kahin charagh kahin aaina kahin KHushbu
rawan hai koi ajab qafila daraKHton mein
- Book : Tasteer (Pg. 294)
- Edition : Issue No. 9,10 July/August. 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.