jo shaKHs sare zamane ka ranj sahta tha
jo shaḳhs saare zamāne kā rañj sahtā thā
vo aaj raah meñ misl-e-ġhubār baiThā thā
yuuñ but banā vo khaḌā thā ki kyā batā.ūñ tumheñ
maiñ us ko chhūne se pahle ḳhayāl samjhā thā
maiñ so rahā thā ki vo ḳhvāb mujh pe TuuT paḌā
maiñ kaise bach ke nikaltā ki maiñ to andhā thā
hazār naam the jo lauh-e-dil pe likkhe the
magar vo naam ki jaise charāġh jaltā thā
baras rahā thā qayāmat kā abr sar pe mire
magar ye baat ajab thī maiñ phir bhī pyāsā thā
na us ne mujh se kahā thā ki Thahro ruk jaao
na sañg-e-surḳh ko maiñ ne palaT ke dekhā thā
balā-e-shahr mujhe DhūñDhtī thī galiyoñ meñ
maiñ apne-āp ko ghar meñ chhupā.e baiThā thā
havā-e-sarv ne patthar chalā.e the kyā kyā
harā-bharā vo shajar ek pal meñ nañgā thā
sabhī se miltā hai lekin vo ab kisī kā nahīñ
'azīm' tum ne bhī dekhā ki vo tumhārā thā
jo shaKHs sare zamane ka ranj sahta tha
wo aaj rah mein misl-e-ghubar baiTha tha
yun but bana wo khaDa tha ki kya bataun tumhein
main us ko chhune se pahle KHayal samjha tha
main so raha tha ki wo KHwab mujh pe TuT paDa
main kaise bach ke nikalta ki main to andha tha
hazar nam the jo lauh-e-dil pe likkhe the
magar wo nam ki jaise charagh jalta tha
baras raha tha qayamat ka abr sar pe mere
magar ye baat ajab thi main phir bhi pyasa tha
na us ne mujh se kaha tha ki Thahro ruk jao
na sang-e-surKH ko main ne palaT ke dekha tha
bala-e-shahr mujhe DhunDhti thi galiyon mein
main apne-ap ko ghar mein chhupae baiTha tha
hawa-e-sarw ne patthar chalae the kya kya
hara-bhara wo shajar ek pal mein nanga tha
sabhi se milta hai lekin wo ab kisi ka nahin
'azim' tum ne bhi dekha ki wo tumhaara tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.